Saturday, November 19, 2011

Kash Pyar Ka insurance Hojata,

Kash Pyar Ka insurance Ho jata,
Pyar Krne Se Pehle Premium Bharwaya Jata
Pyar Me Wafa Mili To Theek Warna
Bewafaon Pe Jo Kharcha Hota Uska Claim To Mil Jata.


Ae Khuda ?
Suna Hy Qubuliat Ki Koi Gharii Hoti Hy ?
Zara Ye Tou Bata K Kis Kis Trha Maine Tujh Se ?
Usy Maanga Na Tha ?


Humare muskurane ki waja tum ho,hamare Zindagi ka matlab tum ho
,agar chor deya saath hamara to samajh lena k hamari maut ki waja
bhi tum ho


Dard ki bazaar bhari pari hai,
Wo cheez na lo jo andar se jali pari hai,
Wafa ki talaash chorr do nadan,
Ye duniya Bewafai se bhari pari hai.


Ham dewano se na pocho anjam-e-ulfat
Ham  bewafaon ko bhi jeeny ki dua dete hain


Hum to tere dil ki mahfil sajane aye thay,
teri kasam tujhy apna banany aye thay.
kis bat ki saza di tu ne ham ko,
bewafa hum to tere dard ko apnany aye thay


Mat zikar karo apni ada key barey mein.
hum bohat kuch jantey hein wafa key barey mein.
suna hai wo bhe mohabat ka shoq rakhney lagey hein.
jo jantey he nahin wafa key barey mein.


Naam likh k us ne mera mitaya hoga,
So bar usko meri yaadon ne rulaya hoga,
Us k chehre pe mera naam likha hai yaro,
Us ne kis kis se mera naam chupaya hoga

Monday, May 30, 2011

Tere Bin - Tuj Say Juda

Kyon tere bin main ek pal ab reh nehi pata
Teri soch, tera khayal hi mere dil ko h  tarpata

Teri pyaari batoon se milay meri dil ko sakoon
Mujhe ishq hai tujh se ya koi or janoon

Ho jati he tere aane se meri dunya jag-mag
Tere jatay hi har tarf andhera cha jata Hai

Dil to rehta din bher teri yaddon me maghen
aab na ho gi shayad isse kisi aur se lagan.

Yeh fasle yeh doorian yeh nit-nai majborian
Tere bin, tuj say juda, ab ek pal bhi jeeya nahee Jata

Thursday, May 05, 2011

Titlee jo ek mujh ko mili

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main
Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main

Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai
Shaamil rahi jo har ghari mere nisaab main

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak
Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi
Aaye the simat ke faasle kitne saraab main

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila
Likha na aik harf bhi us ne jawaab main